Sunday, July 18, 2010

Taki Gair Na Rahoo….



Main gairo ki baat kya Karoo; Main Khud hi gair Ho gaya

Apni hi zameen pein; Main Paraya ho Gaya

Auro ki Kya Pechchaan Puchu Main; Main Khudki Pechchaan Bhul Gaya

Main Gairo ki kya baat karu; Main Khud Hi Gair ban gaya





Aanke Khuli Thi to Ajnajbiyo mein; Bebasai ki Gaud mein

Maa ke aanchal Ka Sukh; Main aansuo mein pee gaya

Aaanko me na aashu hai abb; Nafrat Bhar ke jee gaya

Main gairo ki Kya Baat Karu;Main Khud hi Gair ban gaya



Khilono se khele the Sab;Maine Goliyo se kHela hai

Meri Kilkariyo main bhi maine; Azadi-Azadi ko gungunaya hai

Kya hai Hind or Kya Hai Pak; Main Samazh na Paa Hu

Main Gairo Ki kya baat karu ; Main Khud hi Gair ban gaya



Wo Karte Hai Azadii Ki Baate; Dil Pattar ka Ho Gaya

Swarg ko Loot rehe hai; Kehte hai Pak Daman ho Gaya

Jaibo mein Bhare hai Note; Aur Haato mein hai Maaute

Main Gairo ki kya Baat Karu;Main Khud hi Gair ban gaya



Izzat to neelam hue Sabhi ke; Kya Hindu Kya Muslmaan

Maa behne Kya Budhe Bacche;Sabhi Hai ek Shiyasati chaal ke Shikkar

Majhab ke Naam Pe;Kyon Padoo Main Geeta or Quran

Main Gairo ki Kya Baat Karu;Main Khud Hi gair Ho gaya



Inssaf Ki ladayee me;Insaniayt ke Dete Hai Bali

Behgunao ke Khoon se; Bharte hai apni tijori

Insaaniyat Hai Salakho Mein; Baat Azaadi Ki Karte Hai

Main Gairo Ki Kya Baat Karu; Main khud hi Gair ho gaya



Kesar Mehkta tha Kashmir mein mere; Aaj who Bhi Dar Dar Ke khilta hai

Dul Zheel Ki Kalwato mein;Paani bHi aaj behne ko sochta Hai

Swarg reh gaya Kitbo mein;Shiyasati Narag Yahan Basta hai

Main gairo ki Kya baato karu;Main Khud hi gair ban gaya



Samay hai yeh Sochne ka;Gahri Neend mein se Jagne Ka

Kashmir ke Khoobsart Waadiyo Ko; Laal se Hara Karne Ka

Shiysat Ki daldal mein se; Naye Phool Khilane Ka

Main Gair Nahi Hu aur Abhi;Main Gairo ki Kyon Baat Karoo



Kesar Ko bhi Mehkne Do; Nayee Soch Kee Bayaro mein

Bhaawanao ko Gote Khaaen do;Dul Jheel kee majdaharo Mein;

Jo Ho gaya Wo Dardank tha; Lekin AAJ Humhare Paas Hai

Main Gair Nahi Hu aur Abhi;Main Gairo ki Kyon Baat Sunoo





Quran ki ayato mein bhi;AMAN ki Khawaish hai

Nazariyaa Badlne Kee Jarurat Hai; Waqt ki Pharmaish Hai;

DiwALI mein bhi hai Ali; Aur Ram hai RAMzan Mein

Sabka Malik Ek Hai; Har Dharm Ki Kitab Mein



Koi Gair Nahi Ho Yahaan phir ;Ek hone Ki Guzarish hai

Gair banane walo ki;Bus Phir ek Pahar Baaki Hai

AGAR EK HONE KI TAMANNA ;HUM SUB KE DIL KE RAAHAT HAI



Regards
   Ashish V GuptA (AVA)
Religion : Humanity







No comments:

Post a Comment